Best Zindagi Poetry in Urdu 2 Line-Shayari on Zindagi

AnyConv.com Add a subheading

In this post, we have collected the top Zindagi Poetry in Urdu. I hope you love this poetry, and if you enjoy it, please share it with your buddies.

If you enjoy this post, Zindagi Poetry in Urdu, we bet you will also see other posts on our page, including love poetrysad poetryfriendship poetry, bewafa poetryand attitude poetry.

Zindagi poetry in Urdu

Zindagi poetry in urdu 2 lines. Life sad shayari 2 line urdu. Udas zindagi shayari in urdu. Sher o shayari on zindagi in urdu. Poetry on zindagi in urdu.

zindagi shayari
zindagi poetry in urdu

یہ چار دن کے تماشے ہیں آہ دنیا کے
رہا جہاں میں سکندر نہ اور نہ جم باقی

Ye chaar din ke tamashe hain, aah duniya ke
Raha jahan mein Sikander na aur na Jam baqi

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

AnyConv.com ابھی تو بات کرو ہم سے دوستوں کی طرح پھر اختلاف کے پہلو نکالتے رہنا 1

یہ زندگی بھی عجب کاروبار ہے کہ مجھے
خوشی ہے پانے کی کوئی نہ رنج کھونے کا

Ye zindagi bhi ajab kaarobar hai ke mujhe
Khushi hai paane ki koi na ranj khone ka

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Zindagi poetry

عیش ہی عیش ہے نہ سب غم ہے
زندگی اک حسین سنگم ہے

Aeish hi aeish hai, nah sab gham hai
Zindagi ek haseen sangam hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

بہت عزیز تھی یہ زندگی مگر ہم لوگ
کبھی کبھی تو کسی آرزو میں مر بھی گئے

Bohat azeez thi ye zindagi magar hum log
Kabhi kabhi to kisi arzoo mein mar bhi gaye

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

آخر اک روز تو پیوند زمیں ہونا ہے
جامۂ زیست نیا اور پرانا کیسا

Aakhir ek roz to peywand zameen hona hai
Jama-e-zeest naya aur purana kaisa

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

مجھے یہ ڈر ہے دل زندہ تو نہ مر جائے
کہ زندگانی عبارت ہے تیرے جینے سے

Mujhe ye darr hai, dil zinda to nah mar jaye
Ke zindagani ibarat hai tere jeene se

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

sad zindagi poetry in urdu

sad zindagi poetry in urdu

کبھی کھولے تو کبھی زلف کو بکھرائے ہے
زندگی شام ہے اور شام ڈھلی جائے ہے

Kabhi khole to kabhi zulf ko bikhraye hai
Zindagi shaam hai aur shaam dhali jaye hai

zindagi poetry in urdu
zindagi poetry in urdu

وہ جنگلوں میں درختوں پہ کودتے پھرنا
برا بہت تھا مگر آج سے تو بہتر تھا

Woh janglon mein darakhton pe koodte phirna
Bura bohat tha magar aaj se to behtar tha

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی کتنی مسرت سے گزرتی یا رب
عیش کی طرح اگر غم بھی گوارا ہوتا

Zindagi kitni masarrat se guzarti ya Rab
Aeish ki tarah agar gham bhi gawara hota

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

گزر رہی تھی زندگی گزر رہی ہے زندگی
نشیب کے بغیر بھی فراز کے بغیر بھی

Guzar rahi thi zindagi, guzar rahi hai zindagi
Nasheb ke baghair bhi faraz ke baghair bhi

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

اہل دل کے واسطے پیغام ہو کر رہ گئی
زندگی مجبوریوں کا نام ہو کر رہ گئی

Ahl-e-dil ke wasatay pegham ho kar reh gayi
Zindagi majbooriyon ka naam ho kar reh gayi

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کیا چاہتی ہے ہم سے ہماری یہ زندگی
کیا قرض ہے جو ہم سے ادا ہو نہیں رہا

Kya chahti hai hum se hamari ye zindagi
Kya qarz hai jo hum se ada ho nahin raha

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی تجھ سے ہر اک سانس پہ سمجھوتا کروں
شوق جینے کا ہے مجھ کو مگر اتنا بھی نہیں

Zindagi tujh se har ek saans pe samjhta karoon
Shauq jeene ka hai mujh ko magar itna bhi nahin

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

zindagi poetry in urdu 2 lines

نشہ تھا زندگی کا شرابوں سے تیز تر
ہم گر پڑے تو موت اٹھا لے گئی ہمیں

Nasha tha zindagi ka sharabon se tez tar
Hum gar pare to maut utha le gayi hamein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی خواب ہے اور خواب بھی ایسا کہ میاں
سوچتے رہیے کہ اس خواب کی تعبیر ہے کیا

Zindagi khwab hai aur khwab bhi aisa ke miya
Sochte rahe ke is khwab ki taabeer hai kya

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی کی بساط پر باقیؔ
موت کی ایک چال ہیں ہم لوگ

Zindagi ki basaat par Baqi
Maut ki ek chaal hain hum log

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

تلخیاں اس میں بہت کچھ ہیں مزا کچھ بھی نہیں
زندگی درد محبت کے سوا کچھ بھی نہیں

Talkhiyan is mein bohat kuch hai, maza kuch bhi nahin
Zindagi dard, mohabbat ke siwa kuch bhi nahin

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ایک مشت خاک اور وہ بھی ہوا کی زد میں ہے
زندگی کی بے بسی کا استعارہ دیکھنا

Aik musht-e-khak aur woh bhi hawa ki zad mein hai
Zindagi ki be-basi ka iste’ara dekhna

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کچھ تو ہے بات جو آتی ہے قضا رک رک کے
زندگی قرض ہے قسطوں میں ادا ہوتی ہے

Kuch to hai baat jo aati hai qaza ruk ruk ke
Zindagi qarz hai qisaton mein ada hoti hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی کا ساز بھی کیا ساز ہے
بج رہا ہے اور بے آواز ہے

Zindagi ka saaz bhi kya saaz hai
Baj raha hai aur be awaaz hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

حیات آج بھی کنیز ہے حضور جبر میں
جو زندگی کو جیت لے وہ زندگی کا مرد ہے

Hayat aaj bhi kaneez hai hazoor jibr mein
Jo zindagi ko jeet le woh zindagi ka mard hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

zindagi poetry in urdu 2 lines text

ہم کو بھی خوش نما نظر آئی ہے زندگی
جیسے سراب دور سے دریا دکھائی دے

Hum ko bhi khush numaa nazar aayi hai zindagi
Jaise sarab door se darya dikhayi de

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی پھیلی ہوئی تھی شام ہجراں کی طرح
کس کو اتنا حوصلہ تھا کون جی کر دیکھتا

Zindagi phaili hui thi shaam hajraan ki tarah
Kis ko itna hosla tha kaun je kar dekhta

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کبھی آنکھوں پہ کبھی سر پہ بٹھائے رکھنا
زندگی تلخ سہی دل سے لگائے رکھنا

Kabhi aankhon pe, kabhi sar pe bithaye rakhna,
Zindagi talkh sahi, dil se lagaye rakhna

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

عجب طرح سے گزاری ہے زندگی ہم نے
جہاں میں رہ کے نہ کار جہاں کو پہچانا

Ajab tarah se guzari hai zindagi humne
Jahan mein rah ke na kaar jahan ko pehchana

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی پرچھائیاں اپنی لیے
آئنوں کے درمیاں سے آئی ہے

Zindagi parchhaiyan apni liye
Ainon ke darmiyan se aayi hai.

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

وہی ہے زندگی لیکن جگرؔ یہ حال ہے اپنا
کہ جیسے زندگی سے زندگی کم ہوتی جاتی ہے

Wahi hai zindagi lekin Jigar, yeh haal hai apna,
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

وداع کرتی ہے روزانہ زندگی مجھ کو
میں روز موت کے منجدھار سے نکلتا ہوں

Wida karati hai rozana zindagi mujhko,
Mein roz maut ke manjhdar se nikalta hoon

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

masroof zindagi poetry in urdu

جب نہیں کچھ اعتبار زندگی
اس جہاں کا شاد کیا ناشاد کیا

Jab nahin kuch aitbaar zindagi,
Is jahan ka shaad kiya, naashaad kiya

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی ہے اک کرائے کی خوشی
سوکھتے تالاب کا پانی ہوں میں

Zindagi hai ek karaaye ki khushi,
Sukhte taalab ka paani hoon mein

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

صرف زندہ رہنے کو زندگی نہیں کہتے
کچھ غم محبت ہو کچھ غم جہاں یارو

Sirf zindagi rehne ko zindagi nahi kehte,
Kuch gham mohabbat hai, kuch gham jahan yaaro

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ساری رسوائی زمانے کی گوارا کر کے
زندگی جیتے ہیں کچھ لوگ خسارہ کر کے

Saari ruswai zamaane ki gawara kar ke,
Zindagi jeete hain kuch log kharaara kar ke

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

جو انہیں وفا کی سوجھی تو نہ زیست نے وفا کی
ابھی آ کے وہ نہ بیٹھے کہ ہم اٹھ گئے جہاں سے

Jo unhein wafa ki sooji to na zist ne wafa ki,
Abhi aa ke woh na baithe ke hum uth gaye jahan se

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کس خرابی سے زندگی فانیؔ
اس جہان خراب میں گزری

Kis kharaabi se zindagi faani,
Is jahan kharaab mein guzri

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی سے زندگی روٹھی رہی
آدمی سے آدمی برہم رہا

Zindagi se zindagi ruthi rahi,
Aadmi se aadmi barham raha

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ajeeb zindagi poetry in urdu

ہچکیوں پر ہو رہا ہے زندگی کا راگ ختم
جھٹکے دے کر تار توڑے جا رہے ہیں ساز کے

Hichkiyon par ho raha hai zindagi ka raag khatam,
Jhatke de kar taar tode ja rahe hain saaz ke

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

یقیں مجھے بھی ہے وہ آئیں گے ضرور مگر
وفا کرے گی کہاں تک کہ زندگی ہی تو ہے

Yaqeen mujhe bhi hai woh aayenge zaroor magar,
Wafa karegi kahaan tak, ke zindagi hi to hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

مرا تجربہ ہے کہ اس زندگی میں
پریشانیاں ہی پریشانیاں ہیں

Mera tajurba hai ke is zindagi mein
Pareshaniyaan hi pareshaniyaan hain

کوئی منزل آخری منزل نہیں ہوتی فضیلؔ
زندگی بھی ہے مثال موج دریا راہ رو

Koi manzil aakhri manzil nahi hoti Fazeel,
Zindagi bhi hai misaal moj dariya raah ro

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

خاک اور خون سے اک شمع جلائی ہے نشورؔ
موت سے ہم نے بھی سیکھی ہے حیات آرائی

Khaak aur khoon se ek sham’a jalaai hai Nashoor,
Maut se hum ne bhi seekhi hai hayaat araai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

عشق کے مضموں تھے جن میں وہ رسالے کیا ہوئے
اے کتاب زندگی تیرے حوالے کیا ہوئے

Ishq ke mazmoon the jin mein woh risale kya huye,
Aye kitaab zindagi tere hawale kya huye

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ہر ایک کام ہے دھوکہ ہر ایک کام ہے کھیل
کہ زندگی میں تماشا بہت ضروری ہے

Har ek kaam hai dhoka, har ek kaam hai khail
Ke zindagi mein tamaasha bohat zaroori hai

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Zindagi poetry in Urdu boys

زندگی اور زندگی کی یادگار
پردہ اور پردے پہ کچھ پرچھائیاں

Zindagi aur zindagi ki yaadgaar
Parda aur parde pe kuch parchaiyaan

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

یہی ہے دور غم عاشقی تو کیا ہوگا
اسی طرح سے کٹی زندگی تو کیا ہوگا

Yehi hai door gham-e-aashiqi to kya hoga,
Isi tarah se kati zindagi to kya hoga

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

کہانی ہے تو اتنی ہے فریب خواب ہستی کی
کہ آنکھیں بند ہوں اور آدمی افسانہ ہو جائے

Kahani hai to itni hai farib khwaab hasti ki,
Ke aankhen band ho aur aadmi afsana ho jaaye

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

زندگی! تجھ سا منافق بھی کوئی کیا ہوگا
تیرا شہکار ہوں اور تیرا ہی مارا ہوا ہوں

Zindagi! Tujh sa munafiq bhi koi kya hoga,
Tera shehar hoon aur tera hi maara hoon

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

ہر نفس اک شراب کا ہو گھونٹ
زندگانی حرام ہے ورنہ

Har nafs ek sharaab ka ho ghont,
Zindagani haram hai warna

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

دھوپ کی سختی تو تھی لیکن فرازؔ
زندگی میں پھر بھی تھا سایہ بہت

Dhoop ki sakhti to thi lekin Faraaz,
Zindagi mein phir bhi tha saya bohat

♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦

Conclusion

Thank you for taking the time to read Zindagi poetry in Urdu post. I hope you find it informative and would be pleased to share it with your loved ones. Also, could you read this post?

More Random Post.

U can also read our best poetry post related to You…

About Imran Khan

I am Muhammad Abdullah, founder of Ik Poetry, a dedicated platform providing a unique experience. The online platform specializes in Urdu poetry and is committed to providing only 100% safe and unique content.

View all posts by Imran Khan →

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *