We have collected dosti poetry, a collection of Urdu’s incredible friendship poetry in Urdu. You can spread happiness with your friends by sharing these text lines. Poetry in Urdu for Friends is provided with images and Roman Urdu text, including the best dosti poetry in Urdu that you can use to express your lovers.
Friendship poetry in Urdu text
In friendship Poetry in Urdu, the poet articulates his love for friends. Friends are one of the most important blessings in one’s life as in the presence of friends, one feels joy, and one’s heart gets satisfaction. A friend can also be your siblings, parents, and cousins. Whenever you feel gratitude for the existence of your friends, your heart wants to write excellent friendship poetry in English for them.
بہت ضخیم کتابوں سے چن کے لایا هوں
انہیں پڑهو ورق انتخاب هیں مرے دوست
Maine bohat mote kutubon se chun ke laya hoon
Inhein parho warq intikhab hain mere dost
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دوستوں اور دشمنوں میں کس طرح تفریق ہو
دوستوں اور دشمنوں کی بے رخی ہے ایک سی
Doston aur dushmanon mein kis tarah tafreeq ho
Doston aur dushmanon ki be rukhi hai aik si
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
یہ دل لگانے میں میں نے مزا اٹھایا ہے
ملا نہ دوست تو دشمن سے اتحاد کیا
Yeh dil lagane mein maine maza uthaya hai
Mila nahin dost to dushman se ittehad kiya
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دوست نے دل کو توڑ کے نقش وفا مٹا دیا
سمجھے تھے ہم جسے خلیل کعبہ اسی نے ڈھا دیا
Dost ne dil ko tor ke naqsh-e-wafa mita diya
Samjhe the hum jise Khilil Ka’bah usi ne dha diya
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
مسیح و خضر کی عمریں نثار ہوں اس پر
وہ ایک لمحہ جو یاروں کے درمیاں گزرے
Masih o Khizr ki umrain nisar hoon is par
Woh aik lamha jo yaaron ke darmiyan guzre
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
یا وفا ہی نہ تھی زمانہ میں
یا مگر دوستوں نے کی ہی نہیں
Ya wafa hi nah thi zamana mein
Ya magar doston ne ki nahin
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
friendship poetry in urdu two lines sms
ہم کو اغیار کا گلا کیا ہے
زخم کھائیں ہیں ہم نے یاروں سے
Hum ko aghyar ka gala kya hai
Zakhm khaye hain hum ne yaaron se
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
اپنے بیگانے سے اب مجھ کو شکایت نہ رہی
دشمنی کر کے مرے دوست نے مارا مجھ کو
Apne begaane se ab mujh ko shikayat nah rahi
Dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
سچ کہتے ہیں کہ نام محبت کا ہے بڑا
الفت جتا کے دوست کو دشمن بنا لیا
Sach kehte hain ke naam mohabbat ka hai bara
Ilfaaz uta ke dost ko dushman bana liya
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
اب وہ تتلی ہے نہ وہ عمر تعاقب والی
میں نہ کہتا ہے بہت دور نہ جانا مرے دوست
Ab woh titli hai, nah woh umr taqabbur wali
Main nah kehta tha bohat door na jana mere dost
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
زمانوں بعد ملے ہیں تو کیسے منہ پھیروں
مرے لیے تو پرانی شراب ہیں مرے دوست
Zamano baad mile hain to kaise moun phiroon
Mere liye to purani sharaab hain mere dost
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
جز ترے کوئی بھی دن رات نہ جانے میرے
تو کہاں ہے مگر اے دوست پرانے میرے
Juz tere koi bhi din raat nah jaane mere
Tu kahan hai magar ae dost purane mere
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
عرشؔ کس دوست کو اپنا سمجھوں
سب کے سب دوست ہیں دشمن کی طرف
Arsh, kis dost ko apna samjhun
Sab ke sab dost hain dushman ki taraf
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
best friendship poetry in urdu
دن ایک ستم ایک ستم رات کرو ہو
وہ دوست ہو دشمن کو بھی تم مات کرو ہو
Din ek sitam, raat sitam karo ho
Woh dost ho, dushman ko bhi tum maat karo ho
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
زمانے بھر کو مبارک خوشی کا عالم ہو
ہمارے واسطے اے دوست تم کہاں کم ہو
Zamano bhar ko mubarak khushi ka aalam hai
Hamare wasate ae dost tum kahan kam ho
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
الٰہی مرے دوست ہوں خیریت سے
یہ کیوں گھر میں پتھر نہیں آ رہے ہیں
Ilahi, mere dost hoon khairiyat se
Yeh kyun ghar mein patthar nahin aaraha hain
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
احباب بھی غیروں کی ادا سیکھ گئے ہیں
آتے ہیں مگر دل کو دکھانے نہیں آتے
Ahbaab bhi ghairon ki ada seekh gaye hain
Aate hain magar dil ko dikhanay nahin aate
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
dosti poetry in urdu
بہت چھوٹے ہیں مجھ سے میرے دشمن
جو میرا دوست ہے مجھ سے بڑا ہے
Bohat chhote hain mujh se mere dushman
Jo mera dost hai mujh se bara hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دشمنوں سے پشیمان ہونا پڑا ہے
دوستوں کا خلوص آزمانے کے بعد
Dushmanon se pashemaan hona para hai
Doston ka khuloos azmaane ke baad
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
جس بزم میں ساغر ہو نہ صہبا ہو نہ خم ہو
رندوں کو تسلی ہے کہ اس بزم میں تم ہو
Jis bazm mein saghar ho na sahba ho na khum ho
Rondon ko tasalli hai ke is bazm mein tum ho
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
ہٹائے تھے جو راہ سے دوستوں کی
وہ پتھر مرے گھر میں آنے لگے ہیں
Hataaye thay jo raah se doston ki
Woh patthar mere ghar mein aanay lagay hain
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
girl friendship poetry in urdu
دوستوں سے اس قدر صدمے اٹھائے جان پر
دل سے دشمن کی عداوت کا گلہ جاتا رہا
Doston se is qadar sadme uthaye jaan par
Dil se dushman ki adawat ka gila jaata raha
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
وہ میرا دوست ہے سارے جہاں کو ہے معلوم
دغا کرے وہ ہر کسی سے تو شرم آئے مجھے
Woh mera dost hai saare jahan ko hai maaloom
Daga kare woh har kisi se to sharam aaye mujhe
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
یاد کرنے پہ بھی دوست آئے نہ یاد
دوستوں کے کرم یاد آتے رہے
Yaad karne pe bhi dost aaye nah yaad
Doston ke karam yaad aate rahe
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
اک نیا زخم ملا ایک نئی عمر ملی
جب کسی شہر میں کچھ یار پرانے سے ملے
Aik naya zakhm mila, aik nayi umr mili
Jab kisi sheher mein kuch yaar purane se mile
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
یوں لگے دوست ترا مجھ سے خفا ہو جانا
جس طرح پھول سے خوشبو کا جدا ہو جانا
Yun lage dost tera mujh se khafa ho jana
Jis tarah phool se khushboo ka juda ho jana
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دوست بن کر بھی نہیں ساتھ نبھانے والا
وہی انداز ہے ظالم کا زمانے والا
Dost ban kar bhi nahin saath nibhane wala
Wohi andaaz hai zalim ka zamane wala
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دیکھا جو کھا کے تیر کمیں گاہ کی طرف
اپنے ہی دوستوں سے ملاقات ہو گئی
Dekha jo kha kar teer kameen gah ki taraf
Apne hi doston se mulaqat ho gayi
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
پرانے یار بھی آپس میں اب نہیں ملتے
نہ جانے کون کہاں دل لگا کے بیٹھ گیا
Purane yaar bhi aapas mein ab nahin milte
Nah jane kaun kahan dil laga ke baith gaya
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
sad friendship poetry in urdu
دوستوں سے ملاقات کی شام ہے
یہ سزا کاٹ کر اپنے گھر جاؤں گا
Doston se mulaqat ki shaam hai
Yeh saza kaat kar apne ghar jaoonga
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
تیری باتیں ہی سنانے آئے
دوست بھی دل ہی دکھانے آئے
Teri baatein hi sunane aaye
Dost bhi dil hi dikhane aaye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دشمنوں سے پیار ہوتا جائے گا
دوستوں کو آزماتے جائیے
Dushmanon se pyaar hota jayega
Doston ko azmaate jayiye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دوستوں کو بھی ملے درد کی دولت یا رب
میرا اپنا ہی بھلا ہو مجھے منظور نہیں
Doston ko bhi mile dard ki daulat, ya Rab
Mera apna hi bhala ho, mujhe manzoor nahin
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
وہ کوئی دوست تھا اچھے دنوں کا
جو پچھلی رات سے یاد آ رہا ہے
Woh koi dost tha achhe dino ka
Jo pichli raat se yaad aa raha hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
اے دوست میں خاموش کسی ڈر سے نہیں تھا
قائل ہی تری بات کا اندر سے نہیں تھا
Aye dost, main khamosh kisi dar se nahin tha
Qa’il hi teri baat ka andar se nahin tha
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
توڑ کر آج غلط فہمی کی دیواروں کو
دوستو اپنے تعلق کو سنوارا جائے
Tod kar aaj ghalat fehmi ki deewaron ko
Doston apne ta’alluq ko sanwaara jayiye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
true friendship poetry in urdu
نگاہ ناز کی پہلی سی برہمی بھی گئی
میں دوستی کو ہی روتا تھا دشمنی بھی گئی
Nigah naza ki pehli si burhemi bhi gayi
Main dosti ka hi rota tha, dushmani bhi gayi
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
مجھے جو دوستی ہے اس کو دشمنی مجھ سے
نہ اختیار ہے اس کا نہ میرا چارا ہے
Mujhe jo dosti hai usko dushmani mujh se
Nah ikhtiyar hai us ka, nah mera chara hai
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دشمنی جم کر کرو لیکن یہ گنجائش رہے
جب کبھی ہم دوست ہو جائیں تو شرمندہ نہ ہوں
Dushmani jama kar karo, lekin yeh gunjaish rahe
Jab kabhi hum dost ho jayen to sharminda nah ho
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دل ابھی پوری طرح ٹوٹا نہیں
دوستوں کی مہربانی چاہئے
Dil abhi poori tarah toota nahin
Doston ki mehrbani chahiye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دوستی اور کسی غرض کے لئے
وہ تجارت ہے دوستی کا ہی نہیں
Dosti aur kisi gharz ke liye
Woh tijarat hai, dosti hi nahin
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
دوستی بندگی وفا و خلوص
ہم یہ شمع جلانا بھول گئے
Dosti bandagi, wafa aur khuloos
Hum yeh shama jalaana bhool gaye
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦
fake friendship poetry in urdu
دشمنی نے سنا نہ ہووے گا
جو ہمیں دوستی نے دکھلایا
Dushmani ne suna nah hoga
Jo hamein dosti ne dikhlaya
♦─━━━━━━⊱✿⊰━━━━━━─♦